WhatsApp Pay क्या है। What is WhatsApp Pay in Hindi?

Table of Contents

What is Whatsapp Pay:-

Dosto aaj hm baat karenge Whatsapp pay ke baar me.App sab ne title padh hi liya hoga ki WhatsApp Pay क्या है? WhatsApp Pay Kya hai?Jaisa ki aap sbhi logo ko pata hoga ki Whatsapp yek aisa platform hai jaha se hm instant messeging karte hai.Bharat me lagbhag 40 crore log Whatsapp ka use karte hain.

Whatsapp Pay:-

Whatsapp Pay ke naam se hi pata chl rha hai ki jaise pay ka matlab Payment se hai.To hm samjh sakte hain ki Whatsapp apni facility me bahut bada badlao lane wala hai jo ki company ka dawa hai ki 2019 ke last tak India me Whatsapp pay launch kar diya jayega. WhatsApp Pay क्या है ke baare me aage aur bhi jankari di gayi hai. jise apko Read karna hi chahiye.
Whatsapp ke Global Head Will Cathcart ne kaha ki Whatsapp par Payment karna Whatsapp pr messege bhejne jitna hi easy hoga.
Google Pay aur Paytm ke baad ab Whatsapp ne bhi market me kadam rkhne ka man bana liya hai hai.
Whatsapp pay UPI(unified Payments Interface) ke tahat transactions karega.Apko pta hoga ki UPI joki NCPI(National Payments Corporation of India) dwara manyata prapt hai joki puri tarah se secure hai.UPI jo ki Pradhan Mantri Shri Narendra Modi Ji ke dwara shuru kiya gaya hai.Whatsapp pay isi ka use karke payment send aur recieved karega.

UPI Kya Hai :-

‘UPI Pin’ jaise hum ATM se paisa withdraw krte time 4 digits ka Security pin dalte vaise hai account ko secure rakhne ke liye UPI PIN ka use kiya jata hai. 4 Digit ka koi bhi pin bna skte hain jo ki hmesha yaad rhe. 

Whatsapp Pay ne kai Bank jaise ICICI ,Axis,HDFC aur SBI jaise Bank se link rahega.Apko apna account add karna hoga or phir aap payment send and recieved dono kar sakte hain. WhatsApp Pay क्या है ke is article me aage ham janenge ki iska use kaise kare. WhatsApp Payment kaise kare etc.

How to Use WhatsApp Pay

WhatsApp se Money transfer karna bahut hi easy hai. Aapko Payment enable karke apna kaam kar sakte hain.

Sender Reciever dono ko is features ki jankari honi chahiye tabhi ye ho payega.

Isaliye sbse phle iski jankari prapt kar le ki reciever WhatsApp Money Transfer feature ka use kar raha hai ki nahi.

Aur yadi apke mobile me payment ka option nahi dikh raha hai to apko sabse pahla kaam Apne WhatsApp ko play store se update karna hoga.

Update karne ke baad option show hone lg jayega jiska aap easily use kar sakte hain.

How to enable WhatsApp Payment

WhatsApp me payment option ko enable karna bahut hi easy hai jisko mai apko bahut hi asani se step by step smjha dunga।

1– Sabse pahle aap WhatsApp me three dots pr click karke setting option khol le.

2– Setting me jane ke baad apko Payment ka option dikhayi dene lagega.

3– ab apko apna bank account link karne ko bolega. Aap apna bank select karke account add kar de.

4- Kuch terms & conditions dekhne ko milega jise dhyan se padhkar Agree karna hoga.

5– Ab mobile number ko verify krana hai. Dhyan se verify kare.

6– Mobile verification ke baad UPI verification ke liye kahega. Apko isko bhi verify kar dena hai.

7– Dhyan rakhe UPI verification usi number se kare jisse apka bank account link hai. Anyatha dikkat ho sakti hai.

8– Ab apko bank list khul k dikhne lgegi. Jisme aap apna bank select kriye.

9– Yaha apse Vertual Payee Address bnane ko kaha jayega. Jisame apko apne Debit card ki required details fill kare.

10– Details me apko 6 digits ka debit card number bhi dalna hota hai vhi apna Pin hota hai.

11– Details fill karne ke baad submit par click karen. Ab aap WhatsApp se Payment karne ke liye ready hain.

WhatsApp Pay (Payment) ko use karne se pahle awashyak baate

1– WhatsApp ko usi mobile number se verify kare jisase apka bank account ho.

2– Jab aap 6 digits ka pin bnaye to dhyan rakhe ki vah pin apko bhoolna ni chahiye.

3– WhatsApp Payment karne se pahle apko ko dekh lena h ki Jiske pas aap paisa transfer kar rahe hai. Vah WhatsApp Payment ka use kar raha hai ki nahi.

Dosto Whatsapp Pay ne apna ek beta version launch kiya hai jo ki 1 million log testing ke taur par use kar rahe hain.Whatsapp pay beta testing se company bahut khush hai kuki usko isse positive results mil rahe hain.
Iska ek beta testing 2018 me Feb. month me kiya gaya tha or ek baar phir kiya ja rha hai.
Dosto jaisa ki apko pta hoga ki Whatsapp yha ki company nahi hai.Aur hmare payment karne par hmara data other country me jayega.
Yeh kaha tak secure hai iske bare me company koi surity nahi de rhi hai.To isko use karne ke liye thoda wait karna hoga.
Indian regulatory system me isko permission ka intajar pichle saal se hi hai lekin bharat sarkar ke regulation ke bare me Whatsapp pay ke bare me koi manyata nahi di hai.
Indian regulation ne jab Whatsapp se messege security ke bare me pucha to bataya gaya ki messege ham bhi nahi dekh sakte.or Whatsapp Pay apni sabhi record Facebook par show karega lekin iski kya gaurranty ki hmara account secure rahega.
Bharat me itni adhik matraa me log Whatsapp use karte isi ko dhyan me rakhte huye company ne yeh plan launch kiya hai jiska results
bhi positive hi mil rha hai.
India me lagbhag 4500 arab ka transactions har saal hota hai joki 2023 tk 9000 arab ko paar karne ki sambhawna hai.
Paytm ne kai baar aarop lagaya hai ki bahar ki company yaha aake apna business bdha rhi hai hai or koi surity nahi hai ki ye kab yaha se chli jayengi.
Vaise agar dekha jaye to Whatsapp Pay ke aa jane se ispe kya asar pad sakta hai.Jaisa ki hmne bataya ki Bharat ke 40 crore log Whatsapp ka use karte hain.Aur yeh kaha ja skta hai ki iske aaane se compition high ho jayega.
Aap dekh skte hai Google Pay ne bahut hi kam samay me adhik success gain kiya.
Agar latest record dekha jaye to 4.5 crore log Bharat me Google Pay ka use kar rahe hain.Google ne itni jaldi itni bdi success kaisi hasil ki, sirf or sirf bharose se kuki bharat me kuch hi log aise honge jo Internet ka use karte ho aur Google ka use na krte ho.
Google ne apna plan launch kiya logo ko pasand aya aur aaj result sabke samne hai.Google Pay security surity deta hai tabhi aaj itne jyade bdi marketplace par itni jldi pakad bna li.
Google Pay ke aane se bhi Paytm ki traffic Google Pay ke platform pr transfer ho gyi. Lekin itna to confirm hai ki Whatsapp Pay se customer easily payment kar payega .Kyon ki logo ko pta hai ki kaise messege kiya jata hai vaise hi same process iska bhi hoga.UPI ke trough payment hoga jiske wajah se isme 4 digit ka pin generate karna pdega jisse hmara account secure rahega.
2020 me YouTube se Paise Kaise Kamaye
Whatsapp Pay se payment karne ke liye sabse pahle Whatsapp account ko Bank account se link karna hoga.
Gaurtalab hai ki is feature ke ane se Paytm And Google Pay ko jabardast takkar milegi.Testing aur permission ke baad isko India me launch kar diya jayega.

Conclusion:-

                            Jaisa ki hamne bataya ki WhatsApp Pay क्या है.To iska conclusion kya niklta hai.Dosto agar mera views le to mujhe ye feature bahut hi jabardast lag raha hai.Haan iske data security ke baare me abhi kuch kaha ni ja skta hai lekin ummeed hai ki Whatsapp isko sudhar karke hi launch krega.
Asha karte hain yeh jankari apko pasand ayi hogi yadi apke pas hamare liye koi sawal ya sujhao ho to Comment karke jaroor bataiye.

Dosto agar apko mere dwara di gyi janakari apke liye helpful rahi ho to hmare blog ko Share and Subscribe kre jisse apko or achhi achhi janakari prapt ho.

Frequently Asked Questions


Is WhatsApp Pay secure?

Nothing can be said about its security right now. But let’s hope good.


How much easy for new user?

It is very easy for new users or for old users. Everyone will be able to do it easily.


What is the use of WhatsApp Pay?

This is use for Online Money Transfer. This is new feature of WhatsApp.

13 thoughts on “WhatsApp Pay क्या है। What is WhatsApp Pay in Hindi?”

  1. bhai whatsapp pay ke bare me aapne bahut khoob bataya lekin kiya ham ek phone me whatsapp messanger aur whatsapp pay dono istemal kar sakte hai

    Reply
  2. bhai whatsapp pay ke bare me aapne bahut khoob bataya lekin kiya ham ek phone me whatsapp messanger aur whatsapp pay dono istemal kar sakte hai

    Reply

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.