Telegram Kya Hai? WhatsApp vs Telegram Which is Better in Hindi 2022 Genuine Information

अगर आप स्मार्ट फ़ोन यूजर हैं तो आपने कहीं न कहीं तो टेलीग्राम का नाम सुना होगा। परन्तु उसकी पूरी जानकारी आपको नहीं होगी। इसलिए आज मैं यह लेख आपके लिए लेकर आया हूँ। जहाँ आपको Telegram Kya Hai तथा WhatsApp और Telegram में कौन सा बेहतर है इसकी जानकारी मिलने वाली है।  तो चलिए शुरू करते हैं।

Telegram Kya Hai? WhatsApp vs Telegram Which is Better?

Welcome to another Hindi Blog. Aaj ham discuss karenge Ki Telegram Kya Hai. Isi ke saath janenge Telegram ko Kaise Use kare? WhatsApp vs Telegram me kaun hai sabse behatar aur bhi Bahut kuch jo ki Telegram App se hi related hoga.

Telegram Instant Messaging App hai. Jisko 2013 me Launch kiya gaya tha. Yeh apni launch ke kuch hi saalo me itna adhik famous ho gya hai jiska anuman aap iske downloads se lga sakte hain.

Iske 500 milions se bhi adhik downloads hain. Ab isko itna adhik pasand karne ka kuch to Reason hoga hi. Ji haan iska reason hai iske features. Iske safety features ke naate hi yeh WhatsApp se behatar ho jata hai.

Iski Help se Photo, Videos, Documents, GIF and Stickers Send ya Recieve kiye ja sakte hain.

Isme 1.5 GB tak files tranfer kar sakte hain. Yahan par agar aap chahe to @Vote ka use karke Poll create kar sakte hain

Telegram ke Functions isko aur bhi behtareen banate hain. Apko bata de kuch samay pahle jab WhatsApp ke liye logo me kuch matbhed ho gaya tha.

Tab logo ne WhatsApp ko Uninstall karna start kar diya tha. Aur yehi Telegram App ke liye Ram Baan sabit hua. Because isko us samay near about 50 Lakh logon Install kiya.

Aaj main apko bataunga akhir kya kaaran hain ki Telegram lagbhag 50 Countries me App Store me Top par Rank kar raha hai. Telegram Kya hota hai ? Iske kya kya Features hain sab kuch janenge.

Telegram Kya hai (What is Telegram in Hindi)

Telegram App bhi WhatsApp ke jaise hi hai. Jisse Instant Messaging karke hm Family, Friends and Relatives se online jud kar chat kar sakte hain.

Telegram Messenger ko Pavel & Nikolai namak 2 Bhaiyon ke dwara Year 2006 me Developed kiya gaya. Aur iske kuch saalon baad Year 2013 me launch kar diya gaya. Telegram ki Office Dubai me hai. Is app ko Cloud Base banaya gaya hai. Isme security features ke saath 13 languages me operate kiya ja sakta hai. Iske establishment ki baat kare to Nikolai ne MTProtocol build karne ka kaam kiya aur Povel ne Financially Support kiya jiske falswaroop Telegram Messenger ko 14 August 2013 for IOS and 20 October 2013 for Android ke liye launch kiya gaya. Yeh ek German Company hai.

Cloud Based App ka matlab hai ki iska storage data apke Device me nahi rahta balki Telegram ke hi Server me rahta hai.

Jisse fark yah padta ki Phone ka Storage bhi bacha rahta hai, phone ki speed bhi down nahi hoti hai. Ye WhatsApp ka bahut jabardast Alternative hai. Jise apko Use karna chahiye.

Isko Istemal karna bahut hi use hai. Ya yeh kahe ki yeh Reliable to Use hai. Jise aap Android, IOS, Windows, Windows Phone jiske liye chahe use kar sakte hain.

Agar dekha jaye to America in sab mamle me bahut hi Aage rahta hai. Technology ki baat kare to America ek mana jana Desh hai jo Technologi me bahut aage hai.

WhatsApp Messenger bhi America ka hi Product hai. But Telegram Messaging App ke aane ke baad log ispe shift ho rahe hain. Ho bhi kyon na isme itne safe and secure features jo diye gaye hain.

Telegram ke Founder ka kahna hai ki Telegram me Instant Messaging ki duniya me ek nayi disha pradan ki hai.

Telegram App ke Features

Use Multiple Accounts

Isame apko ek se adhik account access karne ak Option milta hai. Aap chahe to ek saath kai Telegram Account ID bana sakte hain.

Secret Chats

Yaha par Secret chats ka feature diya gaya hai jiska use karke aap apne personal chat ko hide ya remove kar sakte hain.

Speed

Ye Speed ke Data Center se Distributor Network ko Jodta hai jiske kaaran kaafi acchi speed provide karta hai.

Cloud Based

Iska yeh feature to sbse accha hai jo ki apka data apke device storage ko nahi leta hai apne khud k server me store karta hai.

Draft

Isme Draft ka feature milta hai. Jab ap koi message type karke exit ho jate hain to vah message remove nahi hota hain balki As a Draft save ho jata hai. Aap usko remove ya transfer kar sakte hain.

End to End encryption

Telegram me apko Voice call ki suvidha bhi milati hai. Jiske saath 3 Layer Encryption bhi milata hai. Wahi others messaging app me 2 layers hi milte hain.

Location Sharing

Live location sharing ka option yaha prapt hota hai. Agar aap apni Present time ki location kisi ko bhejna chahe to bhej sakte hain.

Edit Your Messages

WhatsApp, Facebook jaise Social Networking Site par jb hm ek baar message send kar dete hain to usme koi changes nhi kar sakte. Jabki Telegram yeh features bhi apne users ko provide karta hai.

Telegram ko kaise use kare

Telegram Kya Hai Janne ke baad ab Baat aati hai ki Ise Use kaise kare. Telegram Messenger ko use karana bahut hi easy hai. Yadi aap WhatsApp ka estemal karte hain to bhi aur nahi karte hain to bhi badi hi asani ke saath chala payenge. Aapko apna Account open karne ki Step by Step Jankari mai dene wala hoon.

Telegram par Account Kaise Banaye

1– Go on Google Play Store then Search Telegram and Click on Install.

2– Login after Installation and click on Start Messaging from Telegram App

3– Now you select your country and fill your Valid Mobile Number and click (✔️)

4– Enter verification code which will sent on same mobile number and then click (✔)

5- You have reached on final stage of account creating and now enter you full name then click on Done button. Ab apka account create ho chuka hai. Aapke estemal karne ke liye tayyar hai.

Telegram Channel kya hai

Yaha par hm apna channel bhi create kar sakte hain. But channel create karne ka kya fayda hai sabse phle ise jaan lete hain.

Jaisa ki apne dekha hi hoga aj kal sabhi Colleges, Coaching centres or any Digital Marketer sabhi apna Telegram channel join karne ke liye influence karte hain.

Kyon ki iske Medium se ve apni New Information apne channel member ke saath share kar pate hai. Yaha par Unlimited members ko Jod sakte hain.

Telegram Channel par News, Education and Investing Strategy ko share kar sakte hain.

Agar aap Blogging or YouTube par as a Businessman work karte hain to apko iska estemal jaroor karana chahiye.

Isse apke Followers se apka attachment bana rahega. Aur sabhi ki help ho sakegi.

Telegram par channel banana or use karna specially mujhe hi nahi balki sabhi ko khasa pasand aya hai.

Yeh kahna galat nahi hoga ki WhatsApp & Facebook par page aur group bnane se adhik useful yahan channel bnana rhega.

Types of Telegram Channel

Isme 2 tarah ke channel bnaye ja sakte hain Public and Private. Jisme many types or categories, Unlimited Members aur aisi hi kai facilities milati hain.

Public – Public channel ka matlab hai ki yahan par Only One Username hoga jise koi bhi Easily search karke join kar sakta hai.

Private – Private channel Public se totally different hota hai. Private channel ko sirf Invitation Link se hi join kiya ja sakta hai.

Telegram Group Kya Hai

Telegram Kya Hai ke saath Telegram group Kya Hai ko bhi Janana Chahiye. Apne WhatsApp and Facebook me Group to use kiya hi hoga thik usi tarah Telegram me bhi group bnaya ja sakta jiski help se aap apni Family, Friends and Relatives ke saath Online jud sakte hain.

Yeh bakiyon se kyon different and better hai aiye isko jante hain. WhatsApp ka alternative kahe jane wale is App ke Group me lagbhag 2 lakh members Join kar sakte hain.

Jabki Aisa WhatsApp me nahi hota hai. WhatsApp me 256 members join krane ki limitation hoti hai. Is nazariye se bhi yeh WhatsApp se aage nikal gaya hai.

Types of Telegram Group

Telegram Group ke bhi 2 parts hain. Basic and Super. Isme bahut features milte hain. Group me kisi particular parson ke liye message kar rahe hain to usko Mention kar sakte hain as fb comment.

Basic Group – Is type ke group me members ki limit hoti hai. Yaha par maximum 200 members hi join kar sakte hain.

Super Group – 200 members se adhik jaise hi honge apka Group Automatically Super Group me convert ho jata hai.

Telegram App Download Kaise Kare

Is app ko hm Android, IOS, Windows and Windows Phone jaise Operating System me Use kar sakte hain. Lekin isko Download kaise karenge iske liye hmne niche btaya hai.

Android phones ke liye ise play store se easily Install kar sakte hain.

iPhone users apne Apple Store me jake search kare aur Install kare.

Windows users ki baat kare to sabhi windows user ko iski official site par jana hoga vaha se Install krna hoga.

WhatsApp vs Telegram which is better in hindi

WhatsApp vs Telegram ka comparison karna intresting hai kyonki kai features dono me same hain yo kai me WhatsApp picche chhoot jaata hai.

Group & Channel

Telegram Messenger ke Group me 2 lakh tak members join kar sakte hain. Aur iske channel me to Join karne ki koi seema hi nahi hai. Unlimited log join kar sakte hain.

WhatsApp Messenger ke group me sirf 256 members ka group hi ho sakta hai. Isme limitations milti hai.

Cloud Based

Telegram App all data ko apne server me store karke rakhta hai. Yeh Cloud based and Voice IP par work karta hai.

WhatsApp Messenger kisi bhi tarah ka data apne server me nahi store karta sab apne device me hi store hota hai.

File Size

Teligram App me 1.5 GB tak ki file to Transfer and Recieve karne ki Quality feature hai.

WhatsApp Messenger me aisa kuch nahi hain. Kuch mb ki files hi bhej aur prapt kar sakte hain.

Telegram ka Estihas ( History of Telegram)

Telegram ki History ki baat kare to isko banane wale Pavel & Nikolai isse pahle VR (Virtual Reality) ke bhi Founder rah chuke hain. Ye dono log Russia ke the. Aur yeh Company Officially German Company hai.

Sabke dimag me ye Question aa raha hoga ki yadi Iske Founder Russian the to unhone yeh company Germany me kyon bnai.

Russia ke kuch IT rules ke wajah se inko Russia chhodna pada. Uske baad inhone apni Office Dubai me banai. Aur aaj bhi Iska Office Dubai me hi hai.

Aisa bilkul nahi hai ki ye dono Povel & Nikolai seedhe Dubai hi gaye nahi. London, Singapore and Burlin me athak prayas ke baad inhe Dubai shift hona pada.

Thode hi Samay me yeh world me itna adhik pasand kiya jane laga ki 2018 me iske 200 millions ke aas pas users ho gye the. Aur lagatar badhte hi ja rahe hain.

Conclusion

Aaj ke Article Telegram Kya Hai me apne purn Vivaran jana. Isake Features, Functions and iski Popularity ke baare me maine apko puri jankari pradan kari hai.

WhatsApp vs Telegram ka short comparison bhi kiya gaya hai jiske sahayata se decision lene me dikkat nahi hogi ki apke liye kaun sa best hai.

Mere according to aap WhatsApp jaroor estemal karte honge mai recommend karna chahunga ki ek Telegram Mobile App ko bhi use karake Check kijiye.

Isake acche aache features apko definitely pasand ayenge. To deri kis baat ki jaiye Download kijiye aur Labh uthaiye.

Maine mere according Telegram Kya Hai ki puri jankari dene ka prayas kiya hai. But phir apko koi Problem ho rahi hai to Comment karake bataiye. Ham apki problem solve karne ka pura prayas karenge.

I Hope apko yeh Article Telegram Kya Hai Pasand aya hoga. Agar pasand aya to hamare Blog Technoyukti ko Subscribe and Share jaroor kare. Jisase Future me aane wali jankariyan apko turant mil sake.

Thankyou Very Much.

2 thoughts on “Telegram Kya Hai? WhatsApp vs Telegram Which is Better in Hindi 2022 Genuine Information”

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.